Sapno Ka Ghar
- Mast Culture

- Jul 10, 2025
- 1 min read
By Anushka Shah
Mujhe bhi ek makaan kharidna hai
Jise sapno ka ghar ka naam dena hai.
Jahan har kona meri khushboo se mehke,
Har deewar meri mehnat se chhanke.
Hansi aur khushiyon se bhara ek parivaar ho,
Jo mere ache-bure waqt ka paigaam ho.
Sukoon ki ek dastaan ho,
Subah ki chai se lekar raat ke aaram tak mera jahaan ho.
Pyaar bhari yaadein,
Sukh dukh ka saath,
Haar jeet ka pramaan,
Aur mere vyaktitva ki kitaab ho woh makaan.
Mujhe bhi ek makaan kharidna hai,
Jise sapno ka ghar ka naam dena hai.
By Anushka Shah



Comments